नारायण बलि पूजा
Akaal mrityu praapt aatmaon ko shanti dilane aur pariwar ko pitra dosh se mukti dilane ke liye ye vishesh vidhi karayi jaati hai.
Narayan Bali Puja un aatmaon ki shanti ke liye karayi jaati hai jinki mrityu asamay, durghatna ya asadharan roop se hui ho. Is puja mein Nagbali evam Tripindi Shraddha vidhi bhi sammilit ki jaati hai, jisse pariwar par pad rahe pitra dosh ke prabhav ko kam kiya jaata hai aur purvajon ko moksha ki prapti hoti hai.
3 din ki vidhi (sankshipt vidhi bhi upalabdh)
Poori samagri included
Kashi jaise teerth sthal par ya aapke sheher mein
FAQs
Paramparik vidhi 3 dinon ki hoti hai, lekin zaroorat ke anusaar sankshipt vidhi bhi upalabdh hai.
Kashi ya anya teerth sthal par karana shubh mana jaata hai, lekin Acharya Ji ke margdarshan mein anya sthaan par bhi karayi jaa sakti hai.
Puja mukhya roop se pariwar ke mukhiya ya sambandhit vyakti dwara sankalp lekar karayi jaati hai.
Hamare Acharya Ji
15+ Saal Ka Anubhav
Hamari team mein Kashi aur Ujjain ke parampragat Vedic astrologers shamil hain, jo kundli vishleshan, muhurat nirdharan aur vastu shastra mein visheshagya hain. Har consultation phone ya WhatsApp video call ke zariye ho sakti hai.
Aaj Hi Shuruaat Karein
Zero upfront cost. Full samagri. Shastrokta vidhi.