अंगारक दोष निवारण पूजा
Kundli mein Mangal aur Rahu ke saath aane se banne wale Angarak Dosh ki shanti ke liye ye vishesh puja karayi jaati hai.
Jab kundli mein Mangal aur Rahu ek saath ek hi bhaav mein sthit hote hain, tab Angarak Dosh banta hai. Ye dosh dhurghatna, krodh, sambandhon mein tanav aur swasthya samasyaon ka karan maana jaata hai. Angarak Dosh Nivaran Puja mein Mangal-Rahu Shanti mantron ke saath havan kiya jaata hai, jisse jeevan mein sthirta aur shanti aati hai.
2 – 3 ghante
Poori samagri included
Aapke dwar par, ghar baithe
FAQs
Janam kundli mein Mangal aur Rahu ki yuti dekhkar anubhavi jyotishi dwara ye dosh pehchana jaata hai.
Mangalvar is puja ke liye shubh mana jaata hai, lekin Acharya Ji sahi muhurat ke anusaar tithi tay karte hain.
Haan, Angarak Dosh vishesh roop se Mangal-Rahu ki yuti se banta hai, jabki Kaal Sarp Dosh sabhi graha Rahu-Ketu ke beech aane se banta hai.
Hamare Acharya Ji
15+ Saal Ka Anubhav
Hamari team mein Kashi aur Ujjain ke parampragat Vedic astrologers shamil hain, jo kundli vishleshan, muhurat nirdharan aur vastu shastra mein visheshagya hain. Har consultation phone ya WhatsApp video call ke zariye ho sakti hai.
Aaj Hi Shuruaat Karein
Zero upfront cost. Full samagri. Shastrokta vidhi.